Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tulu-e-subh hai nazren uTha ke dekh zara

Jan Nisar Akhtar

tulu-e-subh hai nazren uTha ke dekh zara

Jan Nisar Akhtar

MORE BYJan Nisar Akhtar

    tulū-e-sub.h hai nazreñ uThā ke dekh zarā

    shikast-e-zulmat-e-shab muskurā ke dekh zarā

    ġham-e-bahār o ġham-e-yār nahīñ sab kuchh

    ġham-e-jahāñ se bhī dil ko lagā ke dekh zarā

    bahār kaun sauġhāt le ke aa.ī hai

    hamāre zaḳhm-e-tamannā aa ke dekh zarā

    har ek samt se ik āftāb ubhregā

    charāġh-e-dair-o-haram to bujhā ke dekh zarā

    vajūd-e-ishq tārīḳh pata to chale

    varaq ulaT ke arz o samā ke dekh zarā

    mile to mile aur kuchh qubūl nahīñ

    jahāñ meñ hausle ahl-e-vafā ke dekh zarā

    tirī nazar se hai rishta mire girebāñ

    kidhar hai merī taraf muskurā ke dekh zarā

    tulu-e-subh hai nazren uTha ke dekh zara

    shikast-e-zulmat-e-shab muskura ke dekh zara

    gham-e-bahaar o gham-e-yar hi nahin sab kuchh

    gham-e-jahan se bhi dil ko laga ke dekh zara

    bahaar kaun si saughat le ke aai hai

    hamare zaKHm-e-tamanna tu aa ke dekh zara

    har ek samt se ek aaftab ubhrega

    charagh-e-dair-o-haram to bujha ke dekh zara

    wajud-e-ishq ki tariKH ka pata to chale

    waraq ulaT ke tu arz o sama ke dekh zara

    mile to tu hi mile aur kuchh qubul nahin

    jahan mein hausle ahl-e-wafa ke dekh zara

    teri nazar se hai rishta mere gireban ka

    kidhar hai meri taraf muskura ke dekh zara

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Jan Nisar Akhtar

    Jan Nisar Akhtar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now