tum abhi shahr mein kya nae aae ho
tum abhī shahr meñ kyā na.e aa.e ho
ruk ga.e raah meñ hādisa dekh kar
tum jinheñ phuul samjhe ho āñkheñ na hoñ
paañv rakhnā zamīñ par zarā dekh kar
phir diye rakh ga.iiñ terī parchhā.iyāñ
aaj darvāza dil kā khulā dekh kar
us kī āñkhoñ kā sāvan barasne lagā
bādaloñ meñ parinda ghirā dekh kar
shaam gahrī huī aur ghar duur hai
phuul so jā.eñge rāsta dekh kar
phuul sī uñgliyāñ kanghiyāñ ban ga.iiñ
uljhe bāloñ se māthā Dhakā dekh kar
tum abhi shahr mein kya nae aae ho
ruk gae rah mein hadisa dekh kar
tum jinhen phul samjhe ho aankhen na hon
panw rakhna zamin par zara dekh kar
phir diye rakh gain teri parchhaiyan
aaj darwaza dil ka khula dekh kar
us ki aankhon ka sawan barasne laga
baadalon mein parinda ghira dekh kar
sham gahri hui aur ghar dur hai
phul so jaenge rasta dekh kar
phul si ungliyan kanghiyan ban gain
uljhe baalon se matha Dhaka dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.