Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum apne aashiqon se kuchh na kuchh dil-bastagi kar lo

Nooh Narvi

tum apne aashiqon se kuchh na kuchh dil-bastagi kar lo

Nooh Narvi

MORE BYNooh Narvi

    tum apne āshiqoñ se kuchh na kuchh dil-bastagī kar lo

    kisī se dushmanī kar lo kisī se dostī kar lo

    nirālī ham ne ye tahzīb dekhī bazm-e-jānāñ meñ

    adū bhī sāmne aa.e to us ko bandagī kar lo

    ye kyā har baat par dhamkī hai ham tujh se samajh leñge

    hamāre haq meñ jo kuchh tum ko karnā ho abhī kar lo

    adab zāhid hai itnā bahut ai ahl-e-mai-ḳhāna

    jab āñkheñ chaar ho jaa.eñ to jhuk kar bandagī kar lo

    tum apne aashiqon se kuchh na kuchh dil-bastagi kar lo

    kisi se dushmani kar lo kisi se dosti kar lo

    nirali hum ne ye tahzib dekhi bazm-e-jaanan mein

    adu bhi samne aae to us ko bandagi kar lo

    ye kya har baat par dhamki hai hum tujh se samajh lenge

    hamare haq mein jo kuchh tum ko karna ho abhi kar lo

    adab zahid ka hai itna bahut ai ahl-e-mai-KHana

    jab aankhen chaar ho jaen to jhuk kar bandagi kar lo

    Source:

    Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 145)

    • Author: Hasrat Mohani
      • Edition: 1983
      • Publisher: uttar pradesh urdu academy
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now