aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum apne husn pe ghazlen paDha karo baiThe

Raheel Farooq

tum apne husn pe ghazlen paDha karo baiThe

Raheel Farooq

MORE BYRaheel Farooq

    tum apne husn pe ġhazleñ paḌhā karo baiThe

    ki likhne vaale to muddat se hosh kho baiThe

    taras ga.ī haiñ nigāheñ ziyāda kyā kahiye

    sanam sanam rahe behtar ḳhudā na ho baiThe

    ḳhudā ke fazl se ta.alīm vo huī hai aam

    ḳhirad to ḳhair junūñ se bhī haath dho baiThe

    burā kiyā ki talātum meñ nā-ḳhudā.ī

    kināra bhī na milā naav bhī Dubo baiThe

    marīz-e-ishq jaldī janāza niklegā

    kuchh aur der patā pūchhte raho baiThe

    tamām shahr meñ bāñTī hai dard ḳhairāt

    ham us diin ko dil meñ nahīñ samo baiThe

    tumhārī bazm bahut tañg aur dasht vasī.a

    chale to aa.e ghaḌī-do-ghaḌī go baiThe

    bujhī na ātish-e-dil kisī tarah 'rāhīl'

    vagarna yaar to āñkheñ bahut bhigo baiThe

    tum apne husn pe ghazlen paDha karo baiThe

    ki likhne wale to muddat se hosh kho baiThe

    taras gai hain nigahen ziyaada kya kahiye

    sanam sanam rahe behtar KHuda na ho baiThe

    KHuda ke fazl se talim wo hui hai aam

    KHirad to KHair junun se bhi hath dho baiThe

    bura kiya ki talatum mein na-KHudai ki

    kinara bhi na mila naw bhi Dubo baiThe

    mariz-e-ishq ka jaldi janaza niklega

    kuchh aur der pata puchhte raho baiThe

    tamam shahr mein banTi hai dard ki KHairaat

    hum us ki din ko dil mein nahin samo baiThe

    tumhaari bazm bahut tang aur dasht wasia

    chale to aae ghaDi-do-ghaDi hi go baiThe

    bujhi na aatish-e-dil hi kisi tarah 'rahil'

    wagarna yar to aankhen bahut bhigo baiThe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now