Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum apne mariz-e-gham-e-hijran ki KHabar lo

Shuoor Bilgrami

tum apne mariz-e-gham-e-hijran ki KHabar lo

Shuoor Bilgrami

MORE BYShuoor Bilgrami

    tum apne marīz-e-ġham-e-hijrāñ ḳhabar lo

    sauñpā hai agar dard to darmāñ ḳhabar lo

    hañste ho abas hāl-e-pareshāñ pe hamāre

    apnī to zarā zulf-e-pareshāñ ḳhabar lo

    yuuñ aur mujhe ḳhalq meñ bad-nām karoge

    bas hosh sambhālo bhī garebāñ ḳhabar lo

    kis kaam ye aa.egī masīhā.ī tumhārī

    ehsān karo āshiq-e-be-jāñ ḳhabar lo

    phaile hue surme ko to rūmāl se pūchho

    kyā vaz.a hai ye nargis-e-fatāñ ḳhabar lo

    kahtā hai yahī tum se 'shu.ūr'-e-jigar-afgār

    sauñpā hai agar dard to darmāñ ḳhabar lo

    tum apne mariz-e-gham-e-hijran ki KHabar lo

    saunpa hai agar dard to darman ki KHabar lo

    hanste ho abas haal-e-pareshan pe hamare

    apni to zara zulf-e-pareshan ki KHabar lo

    yun aur mujhe KHalq mein bad-nam karoge

    bas hosh sambhaalo bhi gareban ki KHabar lo

    kis kaam ye aaegi masihai tumhaari

    ehsan karo aashiq-e-be-jaan ki KHabar lo

    phaile hue surme ko to rumal se puchho

    kya waza hai ye nargis-e-fatan ki KHabar lo

    kahta hai yahi tum se 'shuur'-e-jigar-afgar

    saunpa hai agar dard to darman ki KHabar lo

    Source:

    Intekhab-e-kalam Shuur Bilgiramii (Pg. 77)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now