tum hamare zikr se aazad ho ye bhi nahin
tum hamāre zikr se āzād ho ye bhī nahīñ
aur pahle kī tarah se yaad ho ye bhī nahīñ
phir banā leñge nayā koī ḳhudā ham sar-phire
tum hamārī āḳhirī ījād ho ye bhī nahīñ
sar ko vo jumbish nahīñ dete kabhī inkār meñ
aur un ke hoñThoñ par irshād ho ye bhī nahīñ
ham se to ye bhī nahīñ hotā ki chup baiThe raheñ
aur apne haq meñ kuchh rūdād ho ye bhī nahīñ
apnī be-nūrī kā tum karte nahīñ ho kyoñ ḳhayāl
tum ko aisā dekh kar koī shaad ho ye bhī nahīñ
tum hamare zikr se aazad ho ye bhi nahin
aur pahle ki tarah se yaad ho ye bhi nahin
phir bana lenge naya koi KHuda hum sar-phire
tum hamari aaKHiri ijad ho ye bhi nahin
sar ko wo jumbish nahin dete kabhi inkar mein
aur un ke honThon par irshad ho ye bhi nahin
hum se to ye bhi nahin hota ki chup baiThe rahen
aur apne haq mein kuchh rudad ho ye bhi nahin
apni be-nuri ka tum karte nahin ho kyon KHayal
tum ko aisa dekh kar koi shad ho ye bhi nahin
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 46)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.