Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum hi nahin ho mere gham se be-KHabar tanha

Kausar Allahabadi

tum hi nahin ho mere gham se be-KHabar tanha

Kausar Allahabadi

MORE BYKausar Allahabadi

    tum nahīñ ho mire ġham se be-ḳhabar tanhā

    jalā hai dil diyā raat raat bhar tanhā

    haiñ sāmrī ke pujārī is nagar ke ḳhudā

    mirā nasīb ki maiñ aa gayā idhar tanhā

    ye sar pe dhuup ye hadd-e-nigāh tak sahrā

    bas ek maiñ huuñ mirā jism hai magar tanhā

    rahī aniis mirī nā-murādiyoñ thakan

    kaTā nahīñ hai mirī ziist safar tanhā

    ḳhayāl-e-sāya-e-gesū bhī ho sakā na nasīb

    kaTī hai merī javānī dopahar tanhā

    na abrūoñ ke darīche na ḳhāl-o-ḳhad ke chaman

    mirā junūñ mujhe pahuñchā gayā kidhar tanhā

    ye āftāb-o-kavākib ye kahkashāñ hujūm

    haiñ saath saath magar sab hai safar tanhā

    kalām kartī rahī mujh se kā.enāt ruuh

    kaTī nahīñ hai sitāroñ rahguzar tanhā

    tulūa hote haiñ mahtāb zehn meñ 'kausar'

    ġhurūb hotā hai jab kaukab-e-sahar tanhā

    tum hi nahin ho mere gham se be-KHabar tanha

    jala hai dil ka diya raat raat bhar tanha

    hain samri ke pujari hi is nagar ke KHuda

    mera nasib ki main aa gaya idhar tanha

    ye sar pe dhup ye hadd-e-nigah tak sahra

    bas ek main hun mera jism hai magar tanha

    rahi anis meri na-muradiyon ki thakan

    kaTa nahin hai meri zist ka safar tanha

    KHayal-e-saya-e-gesu bhi ho saka na nasib

    kaTi hai meri jawani ki dopahar tanha

    na abruon ke dariche na KHal-o-KHad ke chaman

    mera junun mujhe pahuncha gaya kidhar tanha

    ye aaftab-o-kawakib ye kahkashan ka hujum

    hain sath sath magar sab ka hai safar tanha

    kalam karti rahi mujh se kaenat ki ruh

    kaTi nahin hai sitaron ki rahguzar tanha

    tulua hote hain mahtab zehn mein 'kausar'

    ghurub hota hai jab kaukab-e-sahar tanha

    Source:

    Dareecha-e-Dil (Pg. 84)

    • Author: Kausar Allahabadi
      • Publisher: Anjuman Safeena-e-Adab, Karachi
      • Year of Publication: 2003
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now