Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum ho meri prem-kahani ka kirdar

Saiyad Shadab Asghar

tum ho meri prem-kahani ka kirdar

Saiyad Shadab Asghar

MORE BYSaiyad Shadab Asghar

    tum ho merī prem-kahānī kirdār

    merī film meñ shoḳh javānī kirdār

    terī fitrat mujh se mel nahīñ khātī

    alag thalag hai aag se paanī kirdār

    das das baar paḌhī hai maiñ ne mahā-bhārat

    koī nahīñ hai karn daanī kirdār

    kirdāroñ bhiiḌ hai shāmil is meñ par

    maiñ huuñ raajā hai raanī kirdār

    ye chaman-e-gul aur is meñ sab log haiñ phuul

    tum ho jaise raat raanī kirdār

    tere hone se merā honā hai

    jaise badan meñ ḳhūn-o-pānī kirdār

    tum ho meri prem-kahani ka kirdar

    meri film mein shoKH jawani ka kirdar

    teri fitrat mujh se mel nahin khati

    alag thalag hai aag se pani ka kirdar

    das das bar paDhi hai main ne maha-bhaarat

    koi nahin hai karn sa dani ka kirdar

    kirdaron ki bhiD hai shamil is mein par

    main hun raja tu hai rani ka kirdar

    ye chaman-e-gul aur is mein sab log hain phul

    tum ho jaise raat ki rani ka kirdar

    tere hone se hi mera hona hai

    jaise badan mein KHun-o-pani ka kirdar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now