Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum ho mujrim hum hain mulzim chalo naya insaf karen

Sardar Panchhi

tum ho mujrim hum hain mulzim chalo naya insaf karen

Sardar Panchhi

MORE BYSardar Panchhi

    tum ho mujrim ham haiñ mulzim chalo nayā insāf kareñ

    tum bhī hameñ muāfī de do ham bhī tumheñ muaaf kareñ

    phir ujlī kursī par baiTheñ mulzim insāf kareñ

    pahle munsif gañgā-jal se apnī niyyat saaf kareñ

    jis ne jitne qatl kiye haiñ un vo iqbāl kare

    maiñ maqtūloñ se kah dūñgā ab vo use muaaf kareñ

    ye bhī marham hai zaḳhmoñ hākim aur jallād sabhī

    dañgā-pīḌit har bastī nañge pair tavāf kareñ

    kuchh zahrīle aḳhbāroñ ne sab ko mere ḳhilāf kiyā

    un meñ himmat ho to mere rab ko mire ḳhilāf kareñ

    aane vaalī nasloñ ko ye detī raheñgī dars-e-vafā

    na.e musavvir tasvīroñ meñ merā lahū muzāf kareñ

    ik-dūje ke aañsū le leñ ik-dūje ko ḳhushiyāñ deñ

    pyaar sham.a ye ujālā aao har atrāf kareñ

    vote na becheñ kyuuñ bechāre bas kambal ke badle meñ

    jo sardī meñ apnī chamḌī bistar kareñ lihāf kareñ

    taḳht-nashīnoñ ke qadmoñ par bose dene vaale ab

    ek nazar merī qurbānī par bhī to ausāf kareñ

    bādal farz-shanās nahīñ hai qaid hai zanjīroñ meñ

    shabnam ke qatre pyāse 'panchhī' par altāf kareñ

    tum ho mujrim hum hain mulzim chalo naya insaf karen

    tum bhi hamein muafi de do hum bhi tumhein muaf karen

    phir ujli kursi par baiThen mulzim ka insaf karen

    pahle munsif ganga-jal se apni niyyat saf karen

    jis ne jitne qatl kiye hain un ka wo iqbaal kare

    main maqtulon se kah dunga ab wo use muaf karen

    ye bhi marham hai zaKHmon ka hakim aur jallad sabhi

    danga-piDit har basti ka nange pair tawaf karen

    kuchh zahrile aKHbaron ne sab ko mere KHilaf kiya

    un mein himmat ho to mere rab ko mere KHilaf karen

    aane wali naslon ko ye deti rahengi dars-e-wafa

    nae musawwir taswiron mein mera lahu muzaf karen

    ik-duje ke aansu le len ik-duje ko KHushiyan den

    pyar ki shama ka ye ujala aao har atraf karen

    wote na bechen kyun bechaare bas kambal ke badle mein

    jo sardi mein apni chamDi bistar karen lihaf karen

    taKHt-nashinon ke qadmon par bose dene wale ab

    ek nazar meri qurbani par bhi to ausaf karen

    baadal farz-shanas nahin hai qaid hai ya zanjiron mein

    shabnam ke qatre hi pyase 'panchhi' par altaf karen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now