Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum jaan-e-arzu ho nashat-e-KHayal ho

Ghazal Jafari

tum jaan-e-arzu ho nashat-e-KHayal ho

Ghazal Jafari

MORE BYGhazal Jafari

    tum jān-e-ārzū ho nashāt-e-ḳhayāl ho

    kyā duuñ bhalā misāl ki tum be-misāl ho

    dekhā hai jab se tum ko ajab haal hai mirā

    lagtā hai jaise tum mire ham-ḳhayāl ho

    milne aarzū meñ kabhī is tarah mileñ

    duniyā kare judā to bichhaḌnā muhāl ho

    laa.eñ kahāñ se jur.at-e-iz.hār-e-mudda.ā

    aise meñ jabki apnī hālat niDhāl ho

    maiñ phir rahī huuñ saa.e ke pīchhe ye soch kar

    shāyad ki is tarah se tabī.at bahāl ho

    ḳhud ko 'ġhazal' akelī samajhtī ho kis liye

    ye kaun jaane tum bhī kisī ḳhayāl ho

    tum jaan-e-arzu ho nashat-e-KHayal ho

    kya dun bhala misal ki tum be-misal ho

    dekha hai jab se tum ko ajab haal hai mera

    lagta hai jaise tum hi mere ham-KHayal ho

    milne ki aarzu mein kabhi is tarah milen

    duniya kare juda to bichhaDna muhaal ho

    laen kahan se jurat-e-izhaar-e-muddaa

    aise mein jabki apni hi haalat niDhaal ho

    main phir rahi hun sae ke pichhe ye soch kar

    shayad ki is tarah se tabiat bahaal ho

    KHud ko 'ghazal' akeli samajhti ho kis liye

    ye kaun jaane tum bhi kisi ka KHayal ho

    Source:

    Main Ghazal Hoon (Pg. 41)

    • Author: Ghazal Jafari
      • Publisher: Gulshan-e-Iqbal, Karachi
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now