Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum jise kahte ho KHaslat mujhe le Dubegi

Prabhat Patel

tum jise kahte ho KHaslat mujhe le Dubegi

Prabhat Patel

MORE BYPrabhat Patel

    tum jise kahte ho ḳhaslat mujhe le Dūbegī

    sab ko ḳhush rakhne hasrat mujhe le Dūbegī

    har ghaḌī terī zarūrat mujhe le Dūbegī

    terī itnī ye 'ināyat mujhe le Dūbegī

    tanhā mujh ko to kabhī chhoḌ mire hamdam

    terī har lamhe 'ādat mujhe le Dūbegī

    mashvara terā tujhe bhuul maiñ jā.ūñ lekin

    terī yādoñ se ye mohlat mujhe le Dūbegī

    dariyā huuñ maiñ mirī fitrat hai musalsal bahnā

    terī chāhat ye shiddat mujhe le Dūbegī

    shahr meñ tere mohabbat bhī bikā kartī hai

    dil meñ paivast ye ulfat mujhe le Dūbegī

    ab chalan dekh ke duniyā yahī samjhā huuñ

    daur-e-hāzir meñ sharāfat mujhe le Dūbegī

    tum jise kahte ho KHaslat mujhe le Dubegi

    sab ko KHush rakhne ki hasrat mujhe le Dubegi

    har ghaDi teri zarurat mujhe le Dubegi

    teri itni ye 'inayat mujhe le Dubegi

    tanha mujh ko to kabhi chhoD mere hamdam tu

    teri har lamhe ki 'adat mujhe le Dubegi

    mashwara tera tujhe bhul main jaun lekin

    teri yaadon se ye mohlat mujhe le Dubegi

    dariya hun main meri fitrat hai musalsal bahna

    teri chahat ki ye shiddat mujhe le Dubegi

    shahr mein tere mohabbat bhi bika karti hai

    dil mein paiwast ye ulfat mujhe le Dubegi

    ab chalan dekh ke duniya ka yahi samjha hun

    daur-e-hazir mein sharafat mujhe le Dubegi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now