tum jo aa jao to mahfil ko charaghan kar dun
tum jo aa jaao to mahfil ko charāġhāñ kar duuñ
varna jī chāhtā hai zindagī vīrāñ kar duuñ
mujh ko aatā hai hunar gutthiyāñ suljhāne kā
aa tirī zulf-e-girah-gīr ko āsāñ kar duuñ
'ishq kī jang meñ is baat pe kartā huuñ 'amal
un ko rusvā na karūñ ḳhud ko pashemāñ kar duuñ
ghar mire aane kā jhūTā hī irāda kar lo
tā-abad aas meñ har gosha farozāñ kar duuñ
tum jo aa jao to mahfil ko charaghan kar dun
warna ji chahta hai zindagi viran kar dun
mujh ko aata hai hunar gutthiyan suljhane ka
aa teri zulf-e-girah-gir ko aasan kar dun
'ishq ki jang mein is baat pe karta hun 'amal
un ko ruswa na karun KHud ko pasheman kar dun
ghar mere aane ka jhuTa hi irada kar lo
ta-abad aas mein har gosha farozan kar dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.