tum jo KHwabon mein chale aate to achchha hota

tum jo KHwabon mein chale aate to achchha hota
Zaki Tariq Barabankavi
MORE BYZaki Tariq Barabankavi
tum jo ḳhvāboñ meñ chale aate to achchhā hotā
zehn-o-dil ko mire mahkāte to achchhā hotā
abr hai phuul haiñ aur ThanDī havāoñ kā surūr
aise meñ tum bhī jo aa jaate to achchhā hotā
jis tarah aaj taġhāful pe haiñ us ke nālāñ
ham agar pahle yuuñ jhuñjhlāte to achchhā hotā
aaj ye dard-e-judā.ī to nahīñ hotā hameñ
un se nazreñ na milā paate to achchhā hotā
ḳhair-maqdam hai janāb aap kā dil se lekin
saath meñ un ko bhī jo laate to achchhā hotā
sun ke iz.hār-e-mohabbat ko mire kaash ki tum
hoñToñ se phuul na barsāte to achchhā hotā
baar baar us ko manāne ke bajā.e ai 'zakī'
apne is dil ko jo samjhāte to achchhā hotā
tum jo KHwabon mein chale aate to achchha hota
zehn-o-dil ko mere mahkate to achchha hota
abr hai phul hain aur ThanDi hawaon ka surur
aise mein tum bhi jo aa jate to achchha hota
jis tarah aaj taghaful pe hain us ke nalan
hum agar pahle yun jhunjhlate to achchha hota
aaj ye dard-e-judai to nahin hota hamein
un se nazren na mila pate to achchha hota
KHair-maqdam hai janab aap ka dil se lekin
sath mein un ko bhi jo late to achchha hota
sun ke izhaar-e-mohabbat ko mere kash ki tum
honTon se phul na barsate to achchha hota
bar bar us ko manane ke bajae ai 'zaki'
apne is dil ko jo samjhate to achchha hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.