tumko apna shumar karte hain
tum ko apnā shumār karte haiñ
dīda-o-dil nisār karte haiñ
un kā mashq-e-sitam rahe jaarī
jin ko ham dil se pyaar karte haiñ
ham se to bad-gumāñ rahe to rahe
ham tirā e.atibār karte haiñ
ham banāte haiñ phuul kāñToñ ko
aap phūloñ ko ḳhaar karte haiñ
aap ko shauq hai to maz.hab ham
ishq kā iḳhtiyār karte haiñ
ham judā tum se rah nahīñ sakte
rishta phir ustuvār karte haiñ
baḳhshī 'ḳhushtar' ko dard kī daulat
shukr-e-parvardigār karte haiñ
tum ko apna shumar karte hain
dida-o-dil nisar karte hain
un ka mashq-e-sitam rahe jari
jin ko hum dil se pyar karte hain
hum se to bad-guman rahe to rahe
hum tera eatibar karte hain
hum banate hain phul kanTon ko
aap phulon ko KHar karte hain
aap ko shauq hai to mazhab hum
ishq ka iKHtiyar karte hain
hum juda tum se rah nahin sakte
rishta phir ustuwar karte hain
baKHshi 'KHushtar' ko dard ki daulat
shukr-e-parwardigar karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.