Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumko chhoDa to aisa laga jaise KHud se alag ho gae

Aadarsh Dubey

tumko chhoDa to aisa laga jaise KHud se alag ho gae

Aadarsh Dubey

MORE BYAadarsh Dubey

    tum ko chhoḌā to aisā lagā jaise ḳhud se alag ho ga.e

    ek manzil ko jaate hue apne raste alag ho ga.e

    bas isī baat se ġham-zada bas isī baat dukh hameñ

    dūsroñ se yuuñ milte hue mere apne alag ho ga.e

    kuchh siyāsat se toḌe ga.e kuchh ko sāzish ne bahkā diyā

    ek maañ ke haiñ jaa.e sabhī aaj kitne alag ho ga.e

    raat samt dekho nahīñ niiñd us din se aa.ī nahīñ

    jab se vālid ke sāmne us ke beTe alag ho ga.e

    bas yahī haal hogā terā bas yahī haal hogā merā

    jaise ek peḌ shāḳh se us ke patte alag ho ga.e

    tum ko chhoDa to aisa laga jaise KHud se alag ho gae

    ek manzil ko jate hue apne raste alag ho gae

    bas isi baat se gham-zada bas isi baat ka dukh hamein

    dusron se yun milte hue mere apne alag ho gae

    kuchh siyasat se toDe gae kuchh ko sazish ne bahka diya

    ek man ke hain jae sabhi aaj kitne alag ho gae

    raat ki samt dekho nahin nind us din se aai nahin

    jab se walid ke hi samne us ke beTe alag ho gae

    bas yahi haal hoga tera bas yahi haal hoga mera

    jaise ek peD ki shaKH se us ke patte alag ho gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now