Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum kya jaano pyar mohabbat ishq nibhana kya hota hai

Kanval Malik

tum kya jaano pyar mohabbat ishq nibhana kya hota hai

Kanval Malik

MORE BYKanval Malik

    tum kyā jaano pyaar mohabbat ishq nibhānā kyā hotā hai

    tum kyā jaano rasta takte umr bitānā kyā hotā hai

    masjid mandir girja-ghar meñ ashk bahānā kyā hotā hai

    tum kyā jaano raat tahajjud haath uThānā kyā hotā hai

    ḳhud ko miTTī miTTī kar ke aaheñ girya zaarī shor

    tum kyā jaano rūThne vaale yaar manānā kyā hotā hai

    tum kyā jaano zaḳhmī āñkheñ ḳhvāb bikhar jaane dukh

    tum kyā jaano hijr ke aañsū dard uThānā kyā hotā hai

    jaan se pyāre de kar tum ko jaan manā luuñ bolo bhī

    tum kyā jaano jaan se pyāre jaan se jaanā kyā hotā hai

    tum kya jaano pyar mohabbat ishq nibhana kya hota hai

    tum kya jaano rasta takte umr bitana kya hota hai

    masjid mandir girja-ghar mein ashk bahana kya hota hai

    tum kya jaano raat tahajjud hath uThana kya hota hai

    KHud ko miTTi miTTi kar ke aahen girya zari shor

    tum kya jaano ruThne wale yar manana kya hota hai

    tum kya jaano zaKHmi aankhen KHwab bikhar jaane ka dukh

    tum kya jaano hijr ke aansu dard uThana kya hota hai

    jaan se pyare de kar tum ko jaan mana lun bolo bhi

    tum kya jaano jaan se pyare jaan se jaana kya hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now