Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum kya sahab aur tumhaari baat hai kya

Zakir Khan Zakir

tum kya sahab aur tumhaari baat hai kya

Zakir Khan Zakir

MORE BYZakir Khan Zakir

    tum kyā sāhab aur tumhārī baat hai kyā

    dhartī ākāsh tale auqāt hai kyā

    sirf junūñ hai us ke sivā ye kuchh bhī nahīñ

    pyaar na dekhe nasl hai kaisī zaat hai kyā

    pūchh rahī haiñ ruuTh ke jaatī ḳhushiyāñ bhī

    jiit se pahle jīvan path par maat hai kyā

    ham kyā jāneñ ham ne añdherā oḌh liyā

    is adā kyā ḳhvāhish kyā jazbāt hai kyā

    baḳht taara shaam se pahle Duub gayā

    raat ga.e ab tāroñ bārāt hai kyā

    tere saare ḳhvāb 'zākir' bhiig chuke

    dil zamīñ par ashkoñ barsāt hai kyā

    tum kya sahab aur tumhaari baat hai kya

    dharti ki aakash tale auqat hai kya

    sirf junun hai us ke siwa ye kuchh bhi nahin

    pyar na dekhe nasl hai kaisi zat hai kya

    puchh rahi hain ruTh ke jati KHushiyan bhi

    jit se pahle jiwan path par mat hai kya

    hum kya jaanen hum ne andhera oDh liya

    is ki ada kya KHwahish kya jazbaat hai kya

    baKHt ka tara sham se pahle Dub gaya

    raat gae ab taron ki baraat hai kya

    tere sare KHwab hi 'zakir' bhig chuke

    dil ki zamin par ashkon ki barsat hai kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now