tum mein jo baat hai wo baat nahin aai hai
tum meñ jo baat hai vo baat nahīñ aa.ī hai
kyā ye tasvīr kisī ġhair se khiñchvā.ī hai
dekheñ kaisā tumheñ dā'vā-e-masīhā.ī hai
aaj bīmār ne marne kī qasam khaa.ī hai
bas ye rūdād-e-mohabbat yahīñ rahne diije
aage kahtā huuñ to sarkār kī rusvā.ī hai
kasrat-e-ranj-o-alam yās-o-tamanna kā hujūm
kitne hangāmoñ kī mehmāñ mirī tanhā.ī hai
kyoñ sunā.ūñ maiñ tujhe vā'da-ḳhilāfī terī
kyoñ kahalvā.ūñ ki dīvāna hai saudā.ī hai
ḳhuub sayyād satā jaur kar iizā pahuñchā
ab to taqdīr tire daam meñ le aa.ī hai
gosha-e-chashm se bāhar huī surme kī lakīr
ḳhair ho myaan se talvār nikal aa.ī hai
be-kasī meñ bhī marīz un kā akelā na rahe
vo udhar uTh ke ga.e aur qazā aa.ī hai
mahfil-e-ġhair meñ ai ashk na āñkhoñ se nikal
tere parde meñ kisī shoḳh kī rusvā.ī hai
qatra-e-ḳhūñ mire is soḳhta dil meñ hai kahāñ
koī hasrat tire paikāñ se lipaT aa.ī hai
ai 'qamar' chhup ke vo aa.eñ bhī to kyūñkar aa.eñ
chāñdnī aaj sar-e-shām nikal aa.ī hai
tum mein jo baat hai wo baat nahin aai hai
kya ye taswir kisi ghair se khinchwai hai
dekhen kaisa tumhein da'wa-e-masihai hai
aaj bimar ne marne ki qasam khai hai
bas ye rudad-e-mohabbat yahin rahne dije
aage kahta hun to sarkar ki ruswai hai
kasrat-e-ranj-o-alam yas-o-tamanna ka hujum
kitne hangamon ki mehman meri tanhai hai
kyon sunaun main tujhe wa'da-KHilafi teri
kyon kahalwaun ki diwana hai saudai hai
KHub sayyaad sata jaur kar iza pahuncha
ab to taqdir tere dam mein le aai hai
gosha-e-chashm se bahar hui surme ki lakir
KHair ho myan se talwar nikal aai hai
be-kasi mein bhi mariz un ka akela na rahe
wo udhar uTh ke gae aur qaza aai hai
mahfil-e-ghair mein ai ashk na aankhon se nikal
tere parde mein kisi shoKH ki ruswai hai
qatra-e-KHun mere is soKHta dil mein hai kahan
koi hasrat tere paikan se lipaT aai hai
ai 'qamar' chhup ke wo aaen bhi to kyunkar aaen
chandni aaj sar-e-sham nikal aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.