tum mile to yak-ba-yak har shai baDi achchhi lagi
tum mile to yak-ba-yak har shai baDi achchhi lagi
Mazhar Qureshi Mazhar
MORE BYMazhar Qureshi Mazhar
tum mile to yak-ba-yak har shai baḌī achchhī lagī
aaj pahlī baar mujh ko zindagī achchhī lagī
jis kā dil TuuTā hai us se pūchhiye kaisā lagā
aap ko to ḳhair apnī dil-lagī achchhī lagī
aaj tevar hī judāgāna the apne yaar ke
narm lahja guftugū meñ 'ājizī achchhī lagī
soch meñ thā kis tarah tark-e-ta'alluq maiñ karūñ
'ain us mauqe' pe us kī be-ruḳhī achchhī lagī
shukriya hamrāh chalne kā mire ai jugnuo
ghup añdhere meñ tumhārī raushnī achchhī lagī
sard mausam meñ mirī āġhosh meñ vo sīm-tan
aur badan meñ raqs kartī thartharī achchhī lagī
chhup na paa.ī 'maz.har'-e-ḳhasta se dil kī kashmakash
lekin us zālim ko merī bebasī achchhī lagī
tum mile to yak-ba-yak har shai baDi achchhi lagi
aaj pahli bar mujh ko zindagi achchhi lagi
jis ka dil TuTa hai us se puchhiye kaisa laga
aap ko to KHair apni dil-lagi achchhi lagi
aaj tewar hi judagana the apne yar ke
narm lahja guftugu mein 'ajizi achchhi lagi
soch mein tha kis tarah tark-e-ta'alluq main karun
'ain us mauqe' pe us ki be-ruKHi achchhi lagi
shukriya hamrah chalne ka mere ai jugnuo
ghup andhere mein tumhaari raushni achchhi lagi
sard mausam mein meri aaghosh mein wo sim-tan
aur badan mein raqs karti tharthari achchhi lagi
chhup na pai 'mazhar'-e-KHasta se dil ki kashmakash
lekin us zalim ko meri bebasi achchhi lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.