Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum mere pas raho jism ki garmi baKHsho

Syed Ahmed Shameem

tum mere pas raho jism ki garmi baKHsho

Syed Ahmed Shameem

MORE BYSyed Ahmed Shameem

    tum mire paas raho jism garmī baḳhsho

    sard hai raat bahut ghar se na bāhar niklo

    dūdhiyā chāñdnī bistar pe kahāñ se aa.ī

    phir koī chāñd na niklā ho galī meñ dekho

    sar pe kab kaun kahāñ sañg-e-malāmat maare

    pārsāoñ se pare kalba-e-ahzāñ meñ raho

    koī bhoñrā na kahīñ phuul ras jaa.e

    apnī mad.hosh nigāhoñ ke darīche kholo

    jaane kis manzil-e-be-nām jānib niklūñ

    apnī tanhā.ī se Dartā huuñ mire saath raho

    barf ik roz pahāḌoñ pighal jā.egī

    sard-mehrī-e-zamāna shikāyat na karo

    kitnī biitī huī sadiyoñ kahānī huuñ 'shamīm'

    mere chehre ye bigḌī huī tahrīr paḌho

    tum mere pas raho jism ki garmi baKHsho

    sard hai raat bahut ghar se na bahar niklo

    dudhiya chandni bistar pe kahan se aai

    phir koi chand na nikla ho gali mein dekho

    sar pe kab kaun kahan sang-e-malamat mare

    parsaon se pare kalba-e-ahzan mein raho

    koi bhonra na kahin phul ka ras pi jae

    apni madhosh nigahon ke dariche kholo

    jaane kis manzil-e-be-nam ki jaanib niklun

    apni tanhai se Darta hun mere sath raho

    barf ek roz pahaDon ki pighal jaegi

    sard-mehri-e-zamana ki shikayat na karo

    kitni biti hui sadiyon ki kahani hun 'shamim'

    mere chehre ki ye bigDi hui tahrir paDho

    Source:

    Shab Khoon(Shumara Number-061) (Pg. 37)

      • Edition: 1971
      • Publisher: Asrar Karimi Press, Allahabad
      • Year of Publication: 1971
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now