Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumne hamara sath diya to KHud ko hum pa jaenge

Vishvanath Dard

tumne hamara sath diya to KHud ko hum pa jaenge

Vishvanath Dard

MORE BYVishvanath Dard

    tum ne hamārā saath diyā to ḳhud ko ham jā.eñge

    varna apnī zaat se hamdam phir dhokā khā jā.eñge

    kaḌī dhuup meñ ham le aa.e apne komal gītoñ ko

    un ke phuul se chehre dekheñ dhuup meñ kumhlā jā.eñge

    āñkheñ muuñd ke chalne vaale dhun ke pakke nikle to

    chalte chalte ik din āḳhir manzil ko jā.eñge

    kaun havāoñ ke par bāñdhe kaun hamārā rasta roke

    aag dariyā hogā to bhī tair ke ham aa jā.eñge

    dānā.ī ke shahr ke baasī pāgal-pan ke jañgal meñ

    jañgal vaalo aañkh bachā kar aag bhaḌkā jā.eñge

    man aañkh khule to samjho nuur ziina chaḌhnā hai

    varna tan aañkh ke shīshe dhuup meñ dhuñdlā jā.eñge

    dard-havā pīchhā karnā sab ke bas baat nahīñ

    apnā pīchhā karte karte dost bhī uktā jā.eñge

    tum ne hamara sath diya to KHud ko hum pa jaenge

    warna apni zat se hamdam phir dhoka kha jaenge

    kaDi dhup mein hum le aae apne komal giton ko

    un ke phul se chehre dekhen dhup mein kumhla jaenge

    aankhen mund ke chalne wale dhun ke pakke nikle to

    chalte chalte ek din aaKHir manzil ko pa jaenge

    kaun hawaon ke par bandhe kaun hamara rasta roke

    aag ka dariya hoga to bhi tair ke hum aa jaenge

    danai ke shahr ke basi pagal-pan ke jangal mein

    jangal walo aankh bacha kar aag si bhaDka jaenge

    man ki aankh khule to samjho nur ka zina chaDhna hai

    warna tan ki aankh ke shishe dhup mein dhundla jaenge

    dard-hawa ka pichha karna sab ke bas ki baat nahin

    apna pichha karte karte dost bhi ukta jaenge

    Source:

    Intikhab Apna Apna (Pg. 156)

      • Edition: 1987
      • Publisher: Seemant Parkashan, New Delhi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now