Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumne kiya hai tumne ishaara bahut ghalat

Nabeel Ahmad Nabeel

tumne kiya hai tumne ishaara bahut ghalat

Nabeel Ahmad Nabeel

MORE BYNabeel Ahmad Nabeel

    tum ne kiyā hai tum ne ishārā bahut ġhalat

    dariyā bahut durust kinārā bahut ġhalat

    is haar meñ hai haath tumhārā bahut ġhalat

    tum ne kiyā hai faisla saarā bahut ġhalat

    ham Duub jaa.eñ apne ġham ke bahāo meñ

    haañ haañ ġhalat ġhalat mire yaarā bahut ġhalat

    is kisht-e-dil se is ke dil-e-reg-zār tak

    bahne lagā hai ḳhuun dhārā bahut ġhalat

    afsos mujh ko is pe sazā hijr milī

    maiñ ne likhā thā naam tumhārā bahut ġhalat

    maidāñ meñ ek fard bhī zinda na mil sakā

    shab-ḳhūn us ne āḳhirī maarā bahut ġhalat

    ham haiñ zamīñ ke log magar dekh ai falak

    letā hai imtihāñ hamārā bahut ġhalat

    hogā kisī to roz tumhārā hisāb bhī

    tum ne kisī ġharīb ko maarā bahut ġhalat

    vāqif thā apne ishq ke anjām se magar

    phir bhī kisī pe jaan ko vaarā bahut ġhalat

    ham dil-zadoñ ke vāste ye shab Thiik hai

    niklā hai shab āḳhirī taarā bahut ġhalat

    afsos ai 'nabīl' ye tum ne samajh liyā

    dil ko bhī jal bujhā sharārā bahut ġhalat

    chehra sadāqatoñ huā masḳh ai 'nabīl'

    us ne bahāyā jhuuT dhārā bahut ġhalat

    tum ne kiya hai tum ne ishaara bahut ghalat

    dariya bahut durust kinara bahut ghalat

    is haar mein hai hath tumhaara bahut ghalat

    tum ne kiya hai faisla sara bahut ghalat

    hum Dub jaen apne hi gham ke bahao mein

    han han ghalat ghalat mere yara bahut ghalat

    is kisht-e-dil se is ke dil-e-reg-zar tak

    bahne laga hai KHun ka dhaara bahut ghalat

    afsos mujh ko is pe saza hijr ki mili

    main ne likha tha nam tumhaara bahut ghalat

    maidan mein ek fard bhi zinda na mil saka

    shab-KHun us ne aaKHiri mara bahut ghalat

    hum hain zamin ke log magar dekh ai falak

    leta hai imtihan tu hamara bahut ghalat

    hoga kisi to roz tumhaara hisab bhi

    tum ne kisi gharib ko mara bahut ghalat

    waqif tha apne ishq ke anjam se magar

    phir bhi kisi pe jaan ko wara bahut ghalat

    hum dil-zadon ke waste ye shab hi Thik hai

    nikla hai shab ka aaKHiri tara bahut ghalat

    afsos ai 'nabil' ye tum ne samajh liya

    dil ko bhi jal bujha sa sharara bahut ghalat

    chehra sadaqaton ka hua masKH ai 'nabil'

    us ne bahaya jhuT ka dhaara bahut ghalat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now