tum sath to bahaar zamane ki talKHiyan
tum saath to bahār zamāne kī talḳhiyāñ
varna jigar ke paar zamāne kī talḳhiyāñ
jab tak tumhārā saath thā ai mere ham-safar
dekhī na ek baar zamāne kī talḳhiyāñ
jis din se mujh se ruuTh ga.e mere yaar tum
utrī jigar ke paar zamāne kī talḳhiyāñ
mā'sūm ban ke sahte raheñ ai mire ḳhudā
kab tak ye bāda-ḳhvār zamāne kī talḳhiyāñ
dar-asl baat ye hai jo tum tak na aa sakā
kartā phire shumār zamāne kī talḳhiyāñ
ye to karam hai un kā vagarna lipaTne ko
'āmir' haiñ be-qarār zamāne kī talḳhiyāñ
tum sath to bahaar zamane ki talKHiyan
warna jigar ke par zamane ki talKHiyan
jab tak tumhaara sath tha ai mere ham-safar
dekhi na ek bar zamane ki talKHiyan
jis din se mujh se ruTh gae mere yar tum
utri jigar ke par zamane ki talKHiyan
ma'sum ban ke sahte rahen ai mere KHuda
kab tak ye baada-KHwar zamane ki talKHiyan
dar-asl baat ye hai jo tum tak na aa saka
karta phire shumar zamane ki talKHiyan
ye to karam hai un ka wagarna lipaTne ko
'amir' hain be-qarar zamane ki talKHiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.