Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum se kah den na baat kyon dil ki

Qasid Sirsivi

tum se kah den na baat kyon dil ki

Qasid Sirsivi

MORE BYQasid Sirsivi

    tum se kah deñ na baat kyoñ dil

    zabt-e-ġham ab hai baat mushkil

    yaad kashtī Dūbnā aayā

    baat jab kisī ne sāhil

    sāhab-e-ġham na ġham zikr kare

    ḳhuub rasmeñ haiñ un mahfil

    ham ne ḳhud aa ke zer-e-teġh-e-sitam

    laaj rakh hai azm-e-qātil

    zarb-e-sayyād to deñ sab daad

    kis ne parvā-e-murġh-e-bismil

    mauj-e-dariyā-o-rang-e-lāla-o-gul

    kitnī shakleñ haiñ ik mire dil

    mujh ko ehsās-e-āmad-e-tūfāñ

    aap ko fikr sair-e-sāhil

    mastī-e-ahl-e-kārvāñ tauba

    kuchh ḳhabar raah na manzil

    un se kyā ho mo.āmla 'qāsid'

    hai alag raah haqq-o-bātil

    tum se kah den na baat kyon dil ki

    zabt-e-gham ab hai baat mushkil ki

    yaad kashti ka Dubna aaya

    baat ki jab kisi ne sahil ki

    sahab-e-gham na gham ka zikr kare

    KHub rasmen hain un ki mahfil ki

    hum ne KHud aa ke zer-e-tegh-e-sitam

    laj rakh li hai azm-e-qatil ki

    zarb-e-sayyaad ki to den sab dad

    kis ne parwa-e-murgh-e-bismil ki

    mauj-e-dariya-o-rang-e-lala-o-gul

    kitni shaklen hain ek mere dil ki

    mujh ko ehsas-e-amad-e-tufan

    aap ko fikr sair-e-sahil ki

    masti-e-ahl-e-karwan tauba

    kuchh KHabar rah ki na manzil ki

    un se kya ho moamla 'qasid'

    hai alag rah haqq-o-baatil ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now