tum se mil kar KHushi si lagti hai
tum se mil kar ḳhushī sī lagtī hai
zindagī zindagī sī lagtī hai
tum jo aa.e ho aaj ghar mere
har taraf chāñdnī sī lagtī hai
kaise kah duuñ ki tum se pyaar nahīñ
shahr meñ khalbalī sī lagtī hai
paas se jab bhī tum guzartī ho
ek ḳhushbū bhalī sī lagtī hai
apne āñchal ko Thiik kar liije
ye havā manchalī sī lagtī hai
ye tumhārī nazar kā hai jaadū
har nazar mai-kashī sī lagtī hai
tum sarāpā ġhazal ho 'nāzim' kī
har adā shā.irī sī lagtī hai
tum se mil kar KHushi si lagti hai
zindagi zindagi si lagti hai
tum jo aae ho aaj ghar mere
har taraf chandni si lagti hai
kaise kah dun ki tum se pyar nahin
shahr mein khalbali si lagti hai
pas se jab bhi tum guzarti ho
ek KHushbu bhali si lagti hai
apne aanchal ko Thik kar lije
ye hawa manchali si lagti hai
ye tumhaari nazar ka hai jadu
har nazar mai-kashi si lagti hai
tum sarapa ghazal ho 'nazim' ki
har ada shairi si lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.