tum se to koi gila hum ko na tha ruk jate
tum se to koī gila ham ko na thā ruk jaate
rukne detī jo agar ham ko anā ruk jaate
achchhā chalte haiñ kahā ham ne to rasman us ne
muskurā kar ke faqat itnā kahā ruk jaate
thā safar ham pe musallat so hameñ chalnā thā
varna ye dil to ka.ī baar huā ruk jaate
un ko rokā nahīñ ye dukh to rahegā lekin
rokte bhī unheñ gar ham jo to kyā ruk jaate
kuchh na.e rang na.e ḳhvāb banā sakte the
ham udāsī ke safar meñ jo zarā ruk jaate
tum se to koi gila hum ko na tha ruk jate
rukne deti jo agar hum ko ana ruk jate
achchha chalte hain kaha hum ne to rasman us ne
muskura kar ke faqat itna kaha ruk jate
tha safar hum pe musallat so hamein chalna tha
warna ye dil to kai bar hua ruk jate
un ko roka nahin ye dukh to rahega lekin
rokte bhi unhen gar hum jo to kya ruk jate
kuchh nae rang nae KHwab bana sakte the
hum udasi ke safar mein jo zara ruk jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.