Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum to kahte the ki jhagDe mein hua kuchh bhi nahin

Shan-e-Haider Bebak Amrohvi

tum to kahte the ki jhagDe mein hua kuchh bhi nahin

Shan-e-Haider Bebak Amrohvi

MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi

    tum to kahte the ki jhagḌe meñ huā kuchh bhī nahīñ

    maiñ ne dekhā hai ki bastī meñ rahā kuchh bhī nahīñ

    ḳhirman-e-hosh-o-ḳhirad jal ga.e insānoñ ke

    un da.avā hai fasādoñ meñ jalā kuchh bhī nahīñ

    uf vo hālāt se sahmī huī bebas laḌkī

    sar jhukā.e hue kahtī hai luTā kuchh bhī nahīñ

    maslahat-koshī qaiñchī jo chalī ḳhabroñ par

    shaa.e aḳhbār hue un meñ chhupā kuchh bhī nahīñ

    is liye ho ga.ī zarḳhez jarā.em zamīñ

    mujrimoñ ke liye duniyā meñ sazā kuchh bhī nahīñ

    jo ye kahte haiñ ahinsā zamīñ hai bhārat

    un āñkhoñ meñ to sapnoñ ke sivā kuchh bhī nahīñ

    ab hasīñ chehroñ pe miltī hai tasanño naqāb

    ġhamza-o-ishva-o-andāz-o-adā kuchh bhī nahīñ

    aisā badlā hai zamāne chalan ai hamdam

    pyaar nāpaid huā mehr-o-vafā kuchh bhī nahīñ

    jaane kyoñ tīr-e-sitam chalte haiñ ham par 'bebāk'

    apnā maslak to mohabbat ke sivā kuchh bhī nahīñ

    tum to kahte the ki jhagDe mein hua kuchh bhi nahin

    main ne dekha hai ki basti mein raha kuchh bhi nahin

    KHirman-e-hosh-o-KHirad jal gae insanon ke

    un ka dawa hai fasadon mein jala kuchh bhi nahin

    uf wo haalat se sahmi hui bebas laDki

    sar jhukae hue kahti hai luTa kuchh bhi nahin

    maslahat-koshi ki qainchi jo chali KHabron par

    shae aKHbar hue un mein chhupa kuchh bhi nahin

    is liye ho gai zarKHez jaraem ki zamin

    mujrimon ke liye duniya mein saza kuchh bhi nahin

    jo ye kahte hain ahinsa ki zamin hai bhaarat

    un ki aankhon mein to sapnon ke siwa kuchh bhi nahin

    ab hasin chehron pe milti hai tasanno ki naqab

    ghamza-o-ishwa-o-andaz-o-ada kuchh bhi nahin

    aisa badla hai zamane ka chalan ai hamdam

    pyar napaid hua mehr-o-wafa kuchh bhi nahin

    jaane kyon tir-e-sitam chalte hain hum par 'bebak'

    apna maslak to mohabbat ke siwa kuchh bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now