tumhaara aaj mera kal nahin hai
tumhārā aaj merā kal nahīñ hai
magar māthe pe koī bal nahīñ hai
vo merī zindagī kā āḳhirī din
mu'ayyan hai magar kal-val nahīñ hai
kabhī hargiz bhī uchhlegī na kīchaḌ
pahāḌoñ ke tale daldal nahīñ hai
mohabbat meñ kamī aane na paa.e
chaTā.ī ghar meñ hai kambal nahīñ hai
zamāna ho gayā fariyād karte
ki dil meñ dard hai halchal nahīñ hai
siqa hazrāt kahte haiñ ki insāñ
qarīb-ul-marg hai pāgal nahīñ hai
burā ho āḳhir-e-shab mai-kashī kā
namāz-e-sā'at-e-avval nahīñ hai
zamāna hai agar ye haath aa jaa.e
ye ik lamha nahīñ ik pal nahīñ hai
milegī manzil-e-maqsūd shāyad
nazar se rāsta ojhal nahīñ hai
ye kahte sharm aatī hai 'nishāte'
ye merā shahr hai maqtal nahīñ hai
tumhaara aaj mera kal nahin hai
magar mathe pe koi bal nahin hai
wo meri zindagi ka aaKHiri din
mu'ayyan hai magar kal-wal nahin hai
kabhi hargiz bhi uchhlegi na kichaD
pahaDon ke tale daldal nahin hai
mohabbat mein kami aane na pae
chaTai ghar mein hai kambal nahin hai
zamana ho gaya fariyaad karte
ki dil mein dard hai halchal nahin hai
siqa hazraat kahte hain ki insan
qarib-ul-marg hai pagal nahin hai
bura ho aaKHir-e-shab mai-kashi ka
namaz-e-sa'at-e-awwal nahin hai
zamana hai agar ye hath aa jae
ye ek lamha nahin ek pal nahin hai
milegi manzil-e-maqsud shayad
nazar se rasta ojhal nahin hai
ye kahte sharm aati hai 'nishate'
ye mera shahr hai maqtal nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.