Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaara husn hai yakta chalo main man leta hun

Imran Saghar

tumhaara husn hai yakta chalo main man leta hun

Imran Saghar

MORE BYImran Saghar

    tumhārā husn hai yaktā chalo maiñ maan letā huuñ

    koī tum nahīñ dekhā chalo maiñ maan letā huuñ

    agar mere liye kahte na hargiz e'tibār aatā

    vo auroñ ke liye royā chalo maiñ maan letā huuñ

    mujhe ma.alūm hai va.ada-ḳhilāfī us fitrat hai

    jo kahte ho nibhā.egā chalo maiñ maan letā huuñ

    sunā hai vo bahut nādim huā apne ravayye par

    mujhe Thukrā ke pachhtāyā chalo maiñ maan letā huuñ

    jise maiñ ne kabhī chāhā thā apnī jaan se baḌh kar

    vo merā ho nahīñ paayā chalo maiñ maan letā huuñ

    yūñhī to shahr meñ hañgāma 'sāġhar' ho nahīñ saktā

    vo nikle hoñge be-pardā chalo maiñ maan letā huuñ

    tumhaara husn hai yakta chalo main man leta hun

    koi tum sa nahin dekha chalo main man leta hun

    agar mere liye kahte na hargiz e'tibar aata

    wo auron ke liye roya chalo main man leta hun

    mujhe malum hai wada-KHilafi us ki fitrat hai

    jo kahte ho nibhaega chalo main man leta hun

    suna hai wo bahut nadim hua apne rawayye par

    mujhe Thukra ke pachhtaya chalo main man leta hun

    jise main ne kabhi chaha tha apni jaan se baDh kar

    wo mera ho nahin paya chalo main man leta hun

    yunhi to shahr mein hangama 'saghar' ho nahin sakta

    wo nikle honge be-parda chalo main man leta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now