tumhaara sina jo shaq nahin hai
tumhÄrÄ siina jo shaq nahīƱ hai
tumheƱ mohabbat kÄ haq nahīƱ hai
uchhÄl pheƱkÄ zamīƱ se lekin
zarÄ bhÄ« us ko qalaq nahīƱ hai
kahÄƱ ga.Ä« jo kiran thÄ« raushan
ufuq pe koī shafaq nahīƱ hai
adÄ vo tum se huÄ na ab tak
ki lafz aisÄ adaq nahīƱ hai
tumhÄrÄ chehra hai zard 'saifÄ«'
zarÄ bhÄ« is par ramaq nahīƱ hai
tumhaara sina jo shaq nahin hai
tumhein mohabbat ka haq nahin hai
uchhaal phenka zamin se lekin
zara bhi us ko qalaq nahin hai
kahan gai jo kiran thi raushan
ufuq pe koi shafaq nahin hai
ada wo tum se hua na ab tak
ki lafz aisa adaq nahin hai
tumhaara chehra hai zard 'saifi'
zara bhi is par ramaq nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.