Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare dard ki daulat uThae jate hain

Khaleel Husain Balooch

tumhaare dard ki daulat uThae jate hain

Khaleel Husain Balooch

MORE BYKhaleel Husain Balooch

    tumhāre dard daulat uThā.e jaate haiñ

    chale haiñ aise ki jaise parā.e jaate haiñ

    sunā hai jab se anal-haq mājrā yaaro

    atā-e-ishq ko fitna batā.e jaate haiñ

    tumhāre hijr ke malbe meñ dab gayā koī

    tumhāre rog ye bāteñ banā.e jaate haiñ

    jafā ke dosh pe jalte hue charāġh mujhe

    sitam nok pe jiinā sikhā.e jaate haiñ

    barā.e naam jo tum se koī ta.alluq thā

    usī ke bojh se kañdhe jhukā.e jaate haiñ

    purāne zaḳhm jo kal āgahī hāsil the

    mire shu.ūr miTTī meñ paa.e jaate haiñ

    unhī aañkh rahtā hai tazkira aksar

    unhī zulf ke qisse sunā.e jaate haiñ

    hamāre beach koī tīsrā na aa.egā

    ye lafz vo haiñ jo bas bhuul jaa.e jaate haiñ

    vo ek shaḳhs asāsa hai qīmtī merā

    usī ke naam pe duniyā luTā.e jaate haiñ

    kisī pyaar tire ġham kured detā hai

    tumhāre baad bahut āzmā.e jaate haiñ

    ḳhudā 'ḳhalīl' ke sheroñ aabrū rakkhe

    qalam nok pe aañsū bahā.e jaate haiñ

    tumhaare dard ki daulat uThae jate hain

    chale hain aise ki jaise parae jate hain

    suna hai jab se anal-haq ka majra yaro

    ata-e-ishq ko fitna batae jate hain

    tumhaare hijr ke malbe mein dab gaya koi

    tumhaare rog ye baaten banae jate hain

    jafa ke dosh pe jalte hue charagh mujhe

    sitam ki nok pe jina sikhae jate hain

    barae nam jo tum se koi talluq tha

    usi ke bojh se kandhe jhukae jate hain

    purane zaKHm jo kal aagahi ka hasil the

    mere shuur ki miTTi mein pae jate hain

    unhi ki aankh ka rahta hai tazkira aksar

    unhi ki zulf ke qisse sunae jate hain

    hamare beach koi tisra na aaega

    ye lafz wo hain jo bas bhul jae jate hain

    wo ek shaKHs asasa hai qimti mera

    usi ke nam pe duniya luTae jate hain

    kisi ka pyar tere gham kured deta hai

    tumhaare baad bahut aazmae jate hain

    KHuda 'KHalil' ke sheron ki aabru rakkhe

    qalam ki nok pe aansu bahae jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now