Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare eajaz-e-husn ki mere dil pe lakhon inayaten hain

Ali Sardar Jafri

tumhaare eajaz-e-husn ki mere dil pe lakhon inayaten hain

Ali Sardar Jafri

MORE BYAli Sardar Jafri

    tumhāre e.ajāz-e-husn mere dil pe lākhoñ ināyateñ haiñ

    tumhārī den mere zauq-e-nazar saarī latāfateñ haiñ

    javāñ hai sūraj jabīñ pe jis ke tumhāre māthe raushnī hai

    sahar hasīñ hai ki us ke ruḳh par tumhāre ruḳh sabāhateñ haiñ

    maiñ jin bahāroñ parvarish kar rahā huuñ zindān-e-ġham meñ hamdam

    kisī ke gesū-o-chashm-o-ruḳhsār-o-lab rañgīñ hikāyateñ haiñ

    na jaane chhalkā.e jaam kitne na jaane kitne subū uchhāle

    magar mirī tishnagī ki ab bhī tirī nazar se shikāyateñ haiñ

    maiñ apnī āñkhoñ meñ sail-e-ashk-e-ravāñ nahīñ bijliyāñ liye huuñ

    jo sar-buland aur ġhayūr haiñ ahl-e-ġham ye un rivāyateñ haiñ

    maiñ raat god meñ sitāre nahīñ sharāre bikhertā huuñ

    sahar ke dil meñ jo apne ashkoñ se bo rahā huuñ baġhāvateñ haiñ

    ye shā.irī-e-nau paiġhambarī zamāne dāvarī hai

    laboñ pe mere sahīfa-e-inqilāb surḳh āyateñ haiñ

    tumhaare eajaz-e-husn ki mere dil pe lakhon inayaten hain

    tumhaari hi den mere zauq-e-nazar ki sari latafaten hain

    jawan hai suraj jabin pe jis ke tumhaare mathe ki raushni hai

    sahar hasin hai ki us ke ruKH par tumhaare ruKH ki sabahaten hain

    main jin bahaaron ki parwarish kar raha hun zindan-e-gham mein hamdam

    kisi ke gesu-o-chashm-o-ruKHsar-o-lab ki rangin hikayaten hain

    na jaane chhalkae jam kitne na jaane kitne subu uchhaale

    magar meri tishnagi ki ab bhi teri nazar se shikayaten hain

    main apni aankhon mein sail-e-ashk-e-rawan nahin bijliyan liye hun

    jo sar-buland aur ghayur hain ahl-e-gham ye un ki riwayaten hain

    main raat ki god mein sitare nahin sharare bikherta hun

    sahar ke dil mein jo apne ashkon se bo raha hun baghawaten hain

    ye shairi-e-nau ki paighambari zamane ki dawari hai

    labon pe mere sahifa-e-inqilab ki surKH aayaten hain

    Source:

    Kulliyat-e-Ali Sardar Jafri Vol.II (Pg. 151)

    • Author: Ali Ahmad Fatmi
      • Edition: 2005
      • Publisher: Qaumi Council Baray-e-farog Urdu Zaban, New Delhi
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now