Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare hijr ka sadqa utar phenkta hai

Ataul Hasan

tumhaare hijr ka sadqa utar phenkta hai

Ataul Hasan

MORE BYAtaul Hasan

    tumhāre hijr sadqa utaar pheñktā hai

    diler shaḳhs hai ḳhvāhish ko maar pheñktā hai

    baḌe baḌoñ ko Thikāne lagā diyā us ne

    ye ishq laash bhī sahrā ke paar pheñktā hai

    ye kaise shaḳhs ke hāthoñ meñ de diyā ḳhud ko

    falak samt mujhe baar baar pheñktā hai

    maiñ jāntā huuñ mohabbat fasl bo.egā

    zamīñ pe ashk jo zār-o-qatār pheñktā hai

    samay tund-mizājī na pūchh mujh se 'hasan'

    ye be-lagām har ik shahsavār pheñktā hai

    tumhaare hijr ka sadqa utar phenkta hai

    diler shaKHs hai KHwahish ko mar phenkta hai

    baDe baDon ko Thikane laga diya us ne

    ye ishq lash bhi sahra ke par phenkta hai

    ye kaise shaKHs ke hathon mein de diya KHud ko

    falak ki samt mujhe bar bar phenkta hai

    main jaanta hun mohabbat ki fasl boega

    zamin pe ashk jo zar-o-qatar phenkta hai

    samay ki tund-mizaji na puchh mujh se 'hasan'

    ye be-lagam har ek shahsawar phenkta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now