Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare jashn ko jashn-e-farozan hum nahin kahte

Jan Nisar Akhtar

tumhaare jashn ko jashn-e-farozan hum nahin kahte

Jan Nisar Akhtar

MORE BYJan Nisar Akhtar

    tumhāre jashn ko jashn-e-farozāñ ham nahīñ kahte

    lahū garm būñdoñ ko charāġhāñ ham nahīñ kahte

    agar had se guzar jaa.e davā to ban nahīñ jaatā

    kisī bhī dard ko duniyā darmāñ ham nahīñ kahte

    nazar intihā koī na dil intihā koī

    kisī bhī husn ko husn-e-farāvāñ ham nahīñ kahte

    kisī āshiq ke shāne par bikhar jaa.e to kyā kahnā

    magar is zulf ko zulf-e-pareshāñ ham nahīñ kahte

    na bū-e-gul mahaktī hai na shāḳh-e-gul lachaktī hai

    abhī apne gulistāñ ko gulistāñ ham nahīñ kahte

    bahāroñ se junūñ ko har tarah nisbat sahī lekin

    shaguft-e-gul ko āshiq garebāñ ham nahīñ kahte

    hazāroñ saal biite haiñ hazāroñ saal bīteñge

    badal jā.egī kal taqdīr-e-insāñ ham nahīñ kahte

    tumhaare jashn ko jashn-e-farozan hum nahin kahte

    lahu ki garm bundon ko charaghan hum nahin kahte

    agar had se guzar jae dawa to ban nahin jata

    kisi bhi dard ko duniya ka darman hum nahin kahte

    nazar ki intiha koi na dil ki intiha koi

    kisi bhi husn ko husn-e-farawan hum nahin kahte

    kisi aashiq ke shane par bikhar jae to kya kahna

    magar is zulf ko zulf-e-pareshan hum nahin kahte

    na bu-e-gul mahakti hai na shaKH-e-gul lachakti hai

    abhi apne gulistan ko gulistan hum nahin kahte

    bahaaron se junun ko har tarah nisbat sahi lekin

    shaguft-e-gul ko aashiq ka gareban hum nahin kahte

    hazaron sal bite hain hazaron sal bitenge

    badal jaegi kal taqdir-e-insan hum nahin kahte

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tumhaare jashn ko jashn-e-farozan hum nahin kahte Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now