Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare jism ko chhu kar mahak uTThi saba koi

Sardar Panchhi

tumhaare jism ko chhu kar mahak uTThi saba koi

Sardar Panchhi

MORE BYSardar Panchhi

    tumhāre jism ko chhū kar mahak uTThī sabā koī

    chalā ḳhushbū se ḳhushbū barābar silsila koī

    bahut māyūs lauTī hai chaman se phir havā koī

    ġhazal ke kahne vaale kah rahe haiñ marsiya koī

    ḳhizāñ ke daur meñ gulshan ko kyā mahsūs hotā hai

    ye nāzuk baat samjhegā bhī kaise bevafā koī

    ye ham jāneñ hamārī naav jaane bhañvar jaane

    hamārī kashmakash meñ ab na aa.e nā-ḳhudā koī

    hamīñ ne jaan jis bāñkpan se jis qarīne se

    ye hasrat rah ga.ī maqtal meñ aa kar dekhtā koī

    sun ai patjhaḌ zamāna lag gayā terī hukūmat

    guloñ ko ab nahīñ manzūr terā faisla koī

    na jaane kyuuñ dhueñ ik lakīr uThtī hai is ghar se

    kahīñ malbe ke nīche dab gayā jaltā diyā koī

    abhī tak is zamīñ ke aadhe sar meñ dard baaqī hai

    are chāragaro chhoḌo du'ā kar lo davā koī

    tumhārī justujū meñ chhoḌ thī ham ne jannat bhī

    vagarna is zamīñ par kaise hotā hādisa koī

    irādoñ meñ zarā bijlī jagā ke dekh ai 'panchhī'

    isī piñjre se niklegā chaman rāsta koī

    tumhaare jism ko chhu kar mahak uTThi saba koi

    chala KHushbu se KHushbu ka barabar silsila koi

    bahut mayus lauTi hai chaman se phir hawa koi

    ghazal ke kahne wale kah rahe hain marsiya koi

    KHizan ke daur mein gulshan ko kya mahsus hota hai

    ye nazuk baat samjhega bhi kaise bewafa koi

    ye hum jaanen hamari naw jaane ya bhanwar jaane

    hamari kashmakash mein ab na aae na-KHuda koi

    hamin ne jaan di jis bankpan se jis qarine se

    ye hasrat rah gai maqtal mein aa kar dekhta koi

    sun ai patjhaD zamana lag gaya teri hukumat ka

    gulon ko ab nahin manzur tera faisla koi

    na jaane kyun dhuen ki ek lakir uThti hai is ghar se

    kahin malbe ke niche dab gaya jalta diya koi

    abhi tak is zamin ke aadhe sar mein dard baqi hai

    are chaaragaro chhoDo du'a kar lo dawa koi

    tumhaari justuju mein chhoD di thi hum ne jannat bhi

    wagarna is zamin par kaise hota hadisa koi

    iradon mein zara bijli jaga ke dekh ai 'panchhi'

    isi pinjre se niklega chaman ka rasta koi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now