Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare KHwab ki tabir hona chahta hun

Shahzad Baig

tumhaare KHwab ki tabir hona chahta hun

Shahzad Baig

MORE BYShahzad Baig

    tumhāre ḳhvāb ta.abīr honā chāhtā huuñ

    mujhe dekho ki maiñ tasḳhīr honā chāhtā huuñ

    jahāñ-gardī mujhe chaukhaT se bāhar khīñchtī hai

    maiñ apne paaoñ zanjīr honā chāhtā huuñ

    mujhe jhūTī hañsī ne khokhlā kar diyā hai

    bahut afsurda-o-dil-gīr honā chāhtā huuñ

    bahut munjamid zindagī ne kar diyā hai

    maiñ ab chaltī huī shamshīr honā chāhtā huuñ

    uThā.e phir rahā huuñ kab se apne ḳhāl-o-ḳhad ko

    tirī dīvār pe tasvīr honā chāhtā huuñ

    kisī agle zamāne par khuleñge mere ma.anī

    havā lauh par tahrīr honā chāhtā huuñ

    mujhe 'shahzād' mere kīmiyā-dāñ se milā do

    maiñ miTTī huuñ magar iksīr honā chāhtā huuñ

    tumhaare KHwab ki tabir hona chahta hun

    mujhe dekho ki main tasKHir hona chahta hun

    jahan-gardi mujhe chaukhaT se bahar khinchti hai

    main apne paon ki zanjir hona chahta hun

    mujhe jhuTi hansi ne khokhla sa kar diya hai

    bahut afsurda-o-dil-gir hona chahta hun

    bahut hi munjamid sa zindagi ne kar diya hai

    main ab chalti hui shamshir hona chahta hun

    uThae phir raha hun kab se apne KHal-o-KHad ko

    teri diwar pe taswir hona chahta hun

    kisi agle zamane par khulenge mere mani

    hawa ki lauh par tahrir hona chahta hun

    mujhe 'shahzad' mere kimiya-dan se mila do

    main miTTi hun magar iksir hona chahta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now