tumhaare nam se mahke hain sab gulzar ruh-e-man
tumhāre naam se mahke haiñ sab gulzār rūh-e-man
tumhārī yaad se raushan haiñ sab ash'ār rūh-e-man
gulāboñ meñ tumhārī narm palkoñ kī jhalak paa.ī
chamaktā chāñd nargis aur ruḳh-e-dil-dār rūh-e-man
suman ke lab pe Thahrī hai hayā kī shoḳh ḳhushbū bhī
hasīñ kaliyoñ meñ hai 'aks-e-lab-o-guftār rūh-e-man
mahak jaatī haiñ rāheñ jab tumhārī diid hotī hai
ki jaise mushk bikhrī ho sar-e-bāzār rūh-e-man
nazar uThtī nahīñ jugnū se chamke tere 'āriz par
ki jaise raat meñ khilte hoñ sab anvār rūh-e-man
ye duniyā baaġh ho yā phir chaman ho tum jahāñ rakh do
vahīñ par khil uThegā rang kā sansār rūh-e-man
mohabbat be-hisāb aisī ki maiñ ne ai nigār-e-jāñ
ġhazal kā maiñ ne rakkhā hai radīf is baar rūh-e-man
hai 'ādil' kā bhī dil mahv-e-tamannā ai matā'-e-zīst
tire dam se hai qaa.em husn kā me'yār rūh-e-man
tumhaare nam se mahke hain sab gulzar ruh-e-man
tumhaari yaad se raushan hain sab ash'ar ruh-e-man
gulabon mein tumhaari narm palkon ki jhalak pai
chamakta chand nargis aur ruKH-e-dil-dar ruh-e-man
suman ke lab pe Thahri hai haya ki shoKH KHushbu bhi
hasin kaliyon mein hai 'aks-e-lab-o-guftar ruh-e-man
mahak jati hain rahen jab tumhaari did hoti hai
ki jaise mushk bikhri ho sar-e-bazar ruh-e-man
nazar uThti nahin jugnu se chamke tere 'ariz par
ki jaise raat mein khilte hon sab anwar ruh-e-man
ye duniya bagh ho ya phir chaman ho tum jahan rakh do
wahin par khil uThega rang ka sansar ruh-e-man
mohabbat be-hisab aisi ki main ne ai nigar-e-jaan
ghazal ka main ne rakkha hai radif is bar ruh-e-man
hai 'adil' ka bhi dil mahw-e-tamanna ai mata'-e-zist
tere dam se hai qaem husn ka me'yar ruh-e-man
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.