Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare sath ye qissa kabhi kabhaar ka hai

Ashu mishra

tumhaare sath ye qissa kabhi kabhaar ka hai

Ashu mishra

MORE BYAshu mishra

    tumhāre saath ye qissa kabhī kabhār hai

    magar ye hijr mire saath bār-bār hai

    hamāre darmiyāñ ik shak film hai jis meñ

    kahīñ kahīñ pe koī scene e'tibār hai

    ye terī ham pe ināyat hai chaman meñ kisī

    ḳhizāñ-nasīb ke hisse meñ sukh bahār hai

    agar ḳhud ko khulā chhoḌtā hai jān-e-bahār

    to tujh pe haq tire pahle umīd-vār hai

    ye terā jism hai rahguzār-e-gul hai koī

    qabā band hai peḌ regzār hai

    maiñ dil ke baare meñ itnā jaan paayā huuñ

    kabhī ye ek hotā thā ab hazār hai

    tumhaare sath ye qissa kabhi kabhaar ka hai

    magar ye hijr mere sath bar-bar ka hai

    hamare darmiyan ek shak ki film hai jis mein

    kahin kahin pe koi scene e'tibar ka hai

    ye teri hum pe inayat hai ya chaman mein kisi

    KHizan-nasib ke hisse mein sukh bahaar ka hai

    agar tu KHud ko khula chhoDta hai jaan-e-bahaar

    to tujh pe haq tere pahle umid-war ka hai

    ye tera jism hai ya rahguzar-e-gul hai koi

    qaba ka band hai ya peD regzar ka hai

    main dil ke bare mein itna hi jaan paya hun

    kabhi ye ek ka hota tha ab hazar ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now