Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaare zulm ki sare jahan tak baat ja pahunchi

Shabbar Jilani Qamri

tumhaare zulm ki sare jahan tak baat ja pahunchi

Shabbar Jilani Qamri

MORE BYShabbar Jilani Qamri

    tumhāre zulm saare jahāñ tak baat pahuñchī

    kahāñ se baat niklī aur kahāñ tak baat pahuñchī

    ġham-e-pinhāñ fariyād-o-fuġhāñ tak baat pahuñchī

    chhupā.ī laakh lekin har zabāñ tak baat pahuñchī

    huī pahle to kuchh aapas meñ an-ban bāda-ḳhvāroñ meñ

    baḌhī jab baat to pīr-e-muġhāñ tak baat pahuñchī

    bahut kho.e hue the ham javānī bahāroñ meñ

    yakāyak hosh aaya jab ḳhizāñ tak baat pahuñchī

    mire mātam ko tinke aa rahe haiñ uḌ ke gulshan se

    qafas zikr kyā ab āshiyāñ tak baat pahuñchī

    garebān-e-sahar dhajjiyāñ uḌ jā.eñgī 'shabbar'

    agar mere junūñ āsmāñ tak baat pahuñchī

    tumhaare zulm ki sare jahan tak baat ja pahunchi

    kahan se baat nikli aur kahan tak baat ja pahunchi

    gham-e-pinhan ki fariyaad-o-fughan tak baat ja pahunchi

    chhupai lakh lekin har zaban tak baat ja pahunchi

    hui pahle to kuchh aapas mein an-ban baada-KHwaron mein

    baDhi jab baat to pir-e-mughan tak baat ja pahunchi

    bahut khoe hue the hum jawani ki bahaaron mein

    yakayak hosh aaya jab KHizan tak baat ja pahunchi

    mere matam ko tinke aa rahe hain uD ke gulshan se

    qafas ka zikr kya ab aashiyan tak baat ja pahunchi

    gareban-e-sahar ki dhajjiyan uD jaengi 'shabbar'

    agar mere junun ki aasman tak baat ja pahunchi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now