Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaari basti mein karKHana laga hua hai

Arshad Aziz

tumhaari basti mein karKHana laga hua hai

Arshad Aziz

MORE BYArshad Aziz

    tumhārī bastī meñ kārḳhāna lagā huā hai

    hamāre jaisoñ āb-o-dāna lagā huā hai

    yahāñ koī chiiz bhī nahīñ ho rahī hai ta.amīr

    ye sab abas toḌnā banānā lagā huā hai

    mirī ravish to zamāne se thoḌī muḳhtalif hai

    mire ta.āqub meñ kyoñ zamāna lagā huā hai

    ik aise ghoḌe baag hāthoñ meñ ga.ī hai

    jise muqaddar tāziyāna lagā huā hai

    maiñ raat ke āḳhirī pahar se ye kah rahā huuñ

    ki mez par dopahar khānā lagā huā hai

    vo kyā ki sab tishna-kāmiyāñ juuñ tuuñ paḌī haiñ

    ye kyā ki dariyā ābyāna lagā huā hai

    udhar kisī aur zamāne tai huā thā

    idhar koī aur zamāna lagā huā hai

    hai rūh-parvar 'azīz' ye jāñkanī aalam

    ki yaar logoñ aanā jaanā lagā huā hai

    tumhaari basti mein karKHana laga hua hai

    hamare jaison ka aab-o-dana laga hua hai

    yahan koi chiz bhi nahin ho rahi hai tamir

    ye sab abas toDna banana laga hua hai

    meri rawish to zamane se thoDi muKHtalif hai

    mere taaqub mein kyon zamana laga hua hai

    ek aise ghoDe ki bag hathon mein di gai hai

    jise muqaddar ka taziyana laga hua hai

    main raat ke aaKHiri pahar se ye kah raha hun

    ki mez par dopahar ka khana laga hua hai

    wo kya ki sab tishna-kaamiyan jun ki tun paDi hain

    ye kya ki dariya ka aabyana laga hua hai

    udhar kisi aur hi zamane ka tai hua tha

    idhar koi aur hi zamana laga hua hai

    hai ruh-parwar 'aziz' ye jaankani ka aalam

    ki yar logon ka aana jaana laga hua hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now