tumhaari hoshiyari chhin lega
tumhārī hoshiyārī chhīn legā
bahut kuchh ye madārī chhīn legā
vahī jo hosh meñ likkhā hai maiñ ne
tirī saarī ḳhumārī chhīn legā
mujāvar ne hamārī jeb kaaTī
tirā paisa pujārī chhīn legā
badalte vaqt kī fitrat yahī hai
tirī pahchān saarī chhīn legā
hamārā haath bhī zaḳhmī hai lekin
ka.ī hāthoñ se aarī chhīn legā
tumhaari hoshiyari chhin lega
bahut kuchh ye madari chhin lega
wahi jo hosh mein likkha hai main ne
teri sari KHumari chhin lega
mujawar ne hamari jeb kaTi
tera paisa pujari chhin lega
badalte waqt ki fitrat yahi hai
teri pahchan sari chhin lega
hamara hath bhi zaKHmi hai lekin
kai hathon se aari chhin lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.