Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaari yaad mein duniya ko hun bhulae hue

Asar Sahbai

tumhaari yaad mein duniya ko hun bhulae hue

Asar Sahbai

MORE BYAsar Sahbai

    tumhārī yaad meñ duniyā ko huuñ bhulā.e hue

    tumhāre dard ko siine se huuñ lagā.e hue

    ajiib soz se labrez haiñ mire naġhme

    ki sāz-e-dil hai mohabbat choT khaa.e hue

    jo tujh se kuchh bhī na milne pe ḳhush haiñ ai saaqī

    kuchh aise rind bhī haiñ mai-kade meñ aa.e hue

    tumhāre ek tabassum ne dil ko luuT liyā

    rahe laboñ pe shikve laboñ pe aa.e hue

    'asar' bhī rāh-rav-e-dasht-e-zindagānī hai

    pahāḌ ġham dil-e-zār par uThā.e hue

    tumhaari yaad mein duniya ko hun bhulae hue

    tumhaare dard ko sine se hun lagae hue

    ajib soz se labrez hain mere naghme

    ki saz-e-dil hai mohabbat ki choT khae hue

    jo tujh se kuchh bhi na milne pe KHush hain ai saqi

    kuchh aise rind bhi hain mai-kade mein aae hue

    tumhaare ek tabassum ne dil ko luT liya

    rahe labon pe hi shikwe labon pe aae hue

    'asar' bhi rah-raw-e-dasht-e-zindagani hai

    pahaD gham ka dil-e-zar par uThae hue

    Source:

    awarq-e- gul (Pg. 42)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now