Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaari yaad se dil-bastagi si hoti jati hai

Tahniyatunnisa Begam Tahniyat

tumhaari yaad se dil-bastagi si hoti jati hai

Tahniyatunnisa Begam Tahniyat

MORE BYTahniyatunnisa Begam Tahniyat

    tumhārī yaad se dil-bastagī hotī jaatī hai

    hamārī zindagī ab zindagī hotī jaatī hai

    tumhāre rū-e-anvar ke tasavvur ke sadqe meñ

    dil-e-ġham-gīñ meñ paidā raushnī hotī jaatī hai

    dhaḌaktā hai dil-e-mahjūr har-dam yaad meñ us

    haram ke shauq meñ vāraftagī hotī jaatī hai

    fazā-e-mast-e-taiba imbisāt-e-dil baa.is hai

    vahāñ har ik pe taarī sarḳhushī hotī jaatī hai

    mubārak 'tahniyat' yād-e-madīna meñ ye betābi

    isī taqrīb meñ ye shā.irī hotī jaatī hai

    tumhaari yaad se dil-bastagi si hoti jati hai

    hamari zindagi ab zindagi si hoti jati hai

    tumhaare ru-e-anwar ke tasawwur hi ke sadqe mein

    dil-e-gham-gin mein paida raushni si hoti jati hai

    dhaDakta hai dil-e-mahjur har-dam yaad mein us ki

    haram ke shauq mein waraftagi si hoti jati hai

    faza-e-mast-e-taiba imbisat-e-dil ka bais hai

    wahan har ek pe tari sarKHushi si hoti jati hai

    mubarak 'tahniyat' yaad-e-madina mein ye betabi

    isi taqrib mein ye shairi si hoti jati hai

    Source:

    Sabr-o-Shukr (Pg. 53)

    • Author: Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
      • Publisher: Sab Ras Kitab Ghar, Hyderabad
      • Year of Publication: 1956
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now