Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaari yaad to lipTi hai pure ghar ke manzar se

Shagufta Yasmeen

tumhaari yaad to lipTi hai pure ghar ke manzar se

Shagufta Yasmeen

MORE BYShagufta Yasmeen

    tumhārī yaad to lipTī hai puure ghar ke manzar se

    darīche se zamīñ se baam se dīvār se dar se

    mujhe to kūcha-e-mahbūb patthar bhī pyārā hai

    nagīñ se la.al se almās se nīlam se gauhar se

    muqaddar shab-e-zulmat kabhī raushan nahīñ hotī

    diye se maah se qindīl se jugnū se aḳhtar se

    tumhārī aañkh gahrā.iyoñ kyā taqābul ho

    nadī se jhiil se dariyā se jharne se samundar se

    yazīdoñ ko ḳhabar hai karbalā vaale nahīñ Darte

    sināñ se tiir se talvār se barchhī se ḳhanjar se

    kareñ ham sa.ī jitnī bhī kahāñ mumkin hai bach paanā

    za.īfī se qazā se qabr se barzaḳh se mahshar se

    tumhārī diid tishna-nigāhoñ ko hai kyā nisbat

    subū se tuur se chilman se paimāne se kausar se

    ġhazal shā.irī vasf hai sab se judāgāna

    adā se fikr se uslūb se jiddat se tevar se

    tumhaari yaad to lipTi hai pure ghar ke manzar se

    dariche se zamin se baam se diwar se dar se

    mujhe to kucha-e-mahbub ka patthar bhi pyara hai

    nagin se lal se almas se nilam se gauhar se

    muqaddar ki shab-e-zulmat kabhi raushan nahin hoti

    diye se mah se qindil se jugnu se aKHtar se

    tumhaari aankh ki gahraiyon ka kya taqabul ho

    nadi se jhil se dariya se jharne se samundar se

    yazidon ko KHabar hai karbala wale nahin Darte

    sinan se tir se talwar se barchhi se KHanjar se

    karen hum sai jitni bhi kahan mumkin hai bach pana

    zaifi se qaza se qabr se barzaKH se mahshar se

    tumhaari did ki tishna-nigahon ko hai kya nisbat

    subu se tur se chilman se paimane se kausar se

    ghazal ki shairi ka wasf hai sab se judagana

    ada se fikr se uslub se jiddat se tewar se

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now