Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaari yaad yun ehsas-e-tanhai baDhati hai

Badr Mohammadi

tumhaari yaad yun ehsas-e-tanhai baDhati hai

Badr Mohammadi

MORE BYBadr Mohammadi

    tumhārī yaad yuuñ ehsās-e-tanhā.ī baḌhātī hai

    ki jaise qīmateñ chīzoñ mahñgā.ī baḌhātī hai

    nazar aatī hai duniyā ḳhūbsūrat dekh kar tum ko

    tumhārī diid in āñkhoñ bīnā.ī baḌhātī hai

    kisī āñkhoñ meñ ġharqāb ho kar ham ne ye jaanā

    nadī qadr-o-qīmat us gahrā.ī baḌhātī hai

    agar dil ho kushāda to ḳhushī rahtī hai chehre par

    gharoñ raunaqeñ jis tarah añgnā.ī baḌhātī hai

    mohabbat meñ izāfe se miyāñ hushiyār rahnā

    ye aisī nek-nāmī hai jo rusvā.ī baḌhātī hai

    qayāmat hai nahīñ kuchh dekhtā apne sivā koī

    ye duniyā kis liye phir bazm-ārā.ī baḌhātī hai

    mulāqātoñ se koī 'badr' hai gumnām lekin

    mirī gosha-nashīnī shanāsā.ī baḌhātī hai

    tumhaari yaad yun ehsas-e-tanhai baDhati hai

    ki jaise qimaten chizon ki mahngai baDhati hai

    nazar aati hai duniya KHubsurat dekh kar tum ko

    tumhaari did in aankhon ki binai baDhati hai

    kisi ki aankhon mein gharqab ho kar hum ne ye jaana

    nadi ki qadr-o-qimat us ki gahrai baDhati hai

    agar dil ho kushada to KHushi rahti hai chehre par

    gharon ki raunaqen jis tarah angnai baDhati hai

    mohabbat mein izafe se miyan hushiyar hi rahna

    ye aisi nek-nami hai jo ruswai baDhati hai

    qayamat hai nahin kuchh dekhta apne siwa koi

    ye duniya kis liye phir bazm-arai baDhati hai

    mulaqaton se koi 'badr' hai gumnam sa lekin

    meri gosha-nashini hi shanasai baDhati hai

    Source:

    (Pg. 100)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now