Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhein bataun ki kis mashghale se aai hai

Kamran Ghani Saba

tumhein bataun ki kis mashghale se aai hai

Kamran Ghani Saba

MORE BYKamran Ghani Saba

    tumheñ batā.ūñ ki kis mashġhale se aa.ī hai

    mirī nazar meñ chamak ratjage se aa.ī hai

    ḳhayāl jaise aayā zarā dam le luuñ

    to ik sadā-e-jaras qāfile se aa.ī hai

    chamak rahī hai jabīñ naqsh-e-pā barakat se

    vo bil-yaqīñ tire rāste se aa.ī hai

    ye kyā ajab hai ki mujh ko kuchh nahīñ ma.alūm

    jo merī baat tire vāste se aa.ī hai

    tum apne jism ḳhushbū sambhāl kar rakhnā

    ye bahkī bahkī sadā aa.ine se aa.ī hai

    bas itnī zid thī musallā bichhā ke piinā hai

    palaT ke merī anā mai-kade se aa.ī hai

    jise bhulā.e zamāna guzar chukā thā 'sabā'

    usī yaad baḌe valvale se aa.ī hai

    tumhein bataun ki kis mashghale se aai hai

    meri nazar mein chamak ratjage se aai hai

    KHayal jaise hi aaya zara sa dam le lun

    to ek sada-e-jaras qafile se aai hai

    chamak rahi hai jabin naqsh-e-pa ki barakat se

    wo bil-yaqin tere raste se aai hai

    ye kya ajab hai ki mujh ko hi kuchh nahin malum

    jo meri baat tere waste se aai hai

    tum apne jism ki KHushbu sambhaal kar rakhna

    ye bahki bahki sada aaine se aai hai

    bas itni zid thi musalla bichha ke pina hai

    palaT ke meri ana mai-kade se aai hai

    jise bhulae zamana guzar chuka tha 'saba'

    usi ki yaad baDe walwale se aai hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now