Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhein KHabar bhi na mili aur hum shikasta-haal

Wazir Agha

tumhein KHabar bhi na mili aur hum shikasta-haal

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    tumheñ ḳhabar bhī na milī aur ham shikasta-hāl

    tumhāre qadmoñ āñdhī meñ ho ga.e pāmāl

    tire badan mahak ne sulā diyā thā magar

    havā andhā musāfir chalā anokhī chaal

    vo ek nuur sailāb thā ki usī safar

    vo ek nuqta-e-mauhūm thā ki ye bad-hāl

    ajiib rañg meñ vārid huī ḳhizāñ ab ke

    damakte hoñT sulagtī nazar dahakte gaal

    tire karam to har mahaktī barkhā thī

    hamīñ the jin ko huā bhīgā pairahan bhī vabāl

    tumhein KHabar bhi na mili aur hum shikasta-haal

    tumhaare qadmon ki aandhi mein ho gae pamal

    tere badan ki mahak ne sula diya tha magar

    hawa ka andha musafir chala anokhi chaal

    wo ek nur ka sailab tha ki usi ka safar

    wo ek nuqta-e-mauhum tha ki ye bad-haal

    ajib rang mein warid hui KHizan ab ke

    damakte honT sulagti nazar dahakte gal

    tere karam ki to har su mahakti barkha thi

    hamin the jin ko hua bhiga pairahan bhi wabaal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now