Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhein meri mohabbat ka jo andaza nahin hota

Zain Ali Asif

tumhein meri mohabbat ka jo andaza nahin hota

Zain Ali Asif

MORE BYZain Ali Asif

    tumheñ merī mohabbat jo andāza nahīñ hotā

    ye hotā bhī nahīñ jab tak koī rusvā nahīñ hotā

    tirī yādoñ ke sahrā meñ sanam kyā kyā nahīñ hotā

    jahāñ ho tishnagī ġham vahāñ dariyā nahīñ hotā

    tirī āñkhoñ nisbat se yahāñ zāhid bhī piite haiñ

    hamāre shahr meñ varna ye mai-ḳhāna nahīñ hotā

    musalsal tere fatvoñ hameñ kuchh Dar nahīñ vā'iz

    ki 'āshiq aise hamloñ se kabhī Dartā nahīñ hotā

    ġhizā mahñgī davā mahñgī zamīñ mahñgī kafan mahñgā

    yahāñ jiinā nahīñ hotā yahāñ marnā nahīñ hotā

    kabhī jo 'zain' bebas ho na phir māyūs tum honā

    samay tabdīl hotā hai sadā ik nahīñ hotā

    tumhein meri mohabbat ka jo andaza nahin hota

    ye hota bhi nahin jab tak koi ruswa nahin hota

    teri yaadon ke sahra mein sanam kya kya nahin hota

    jahan ho tishnagi ka gham wahan dariya nahin hota

    teri aankhon ki nisbat se yahan zahid bhi pite hain

    hamare shahr mein warna ye mai-KHana nahin hota

    musalsal tere fatwon ka hamein kuchh Dar nahin wa'iz

    ki 'ashiq aise hamlon se kabhi Darta nahin hota

    ghiza mahngi dawa mahngi zamin mahngi kafan mahnga

    yahan jina nahin hota yahan marna nahin hota

    kabhi jo 'zain' bebas ho na phir mayus tum hona

    samay tabdil hota hai sada ek sa nahin hota

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now