Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhein mere KHayal ki musawwiri qubul ho

Salam Machhli shahri

tumhein mere KHayal ki musawwiri qubul ho

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    tumheñ mire ḳhayāl musavvirī qubūl ho

    jadīd-tar fazā-e-alf-lailavī qubūl ho

    haqīqatoñ talḳhiyoñ ke mas.ale kuchh aur haiñ

    magar ḳhayāl-o-ḳhvāb ye shā.irī qubūl ho

    tumhārā jism ma.abad-e-tasavvur-e-nashāt hai

    mufakkir-e-bahār ye bandagī qubūl ho

    ba-vasf-e-ilm-o-fan jinheñ kabhī sukūñ na mil sakā

    bahut hai gar unheñ nashāt-e-ārzī qubūl ho

    hayāt ḳhud mirī fikr hasīñ tilism hai

    agar jahāñ ko bhī ye sehr-e-sāmrī qubūl ho

    tumhāre husn ke tufail ḳhizr-e-shahr-e-raz ko bhī

    'salām' aise shā.iroñ kaj-ravī qubūl ho

    tumhein mere KHayal ki musawwiri qubul ho

    jadid-tar faza-e-alf-lailawi qubul ho

    haqiqaton ki talKHiyon ke masale kuchh aur hain

    magar KHayal-o-KHwab ki ye shairi qubul ho

    tumhaara jism mabad-e-tasawwur-e-nashat hai

    mufakkir-e-bahaar ki ye bandagi qubul ho

    ba-wasf-e-ilm-o-fan jinhen kabhi sukun na mil saka

    bahut hai gar unhen nashat-e-arzi qubul ho

    hayat KHud meri hi fikr ka hasin tilism hai

    agar jahan ko bhi ye sehr-e-samri qubul ho

    tumhaare husn ke tufail KHizr-e-shahr-e-raz ko bhi

    'salam' aise shairon ki kaj-rawi qubul ho

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 225)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now