Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhin batao wo kaun hai jo har ek lamha sata raha hai

Razia Halim Jang

tumhin batao wo kaun hai jo har ek lamha sata raha hai

Razia Halim Jang

MORE BYRazia Halim Jang

    tumhīñ batāo vo kaun hai jo har ek lamha satā rahā hai

    na niiñd rātoñ ko aa rahī hai na chain din ko aa rahā hai

    ye ashk dāman bhigo rahe haiñ ye āñkheñ suujī huī haiñ merī

    maiñ ek jalve us ke tālib magar vo parde girā rahā hai

    tavāf-e-ka.aba ko dekh to le taḌap rahā hai vajūd merā

    na paañv ab mere uTh rahe haiñ na sāmne ghar vo aa rahā hai

    maiñ ek majbūr nā-tavāñ za.iif bandī huuñ us se tālib

    tamāshā chup-chāp dekhtā hai kahāñ taras mujh pe khā rahā hai

    tujhe usī qasam hai maulā hai tujh ko mahbūb do jahāñ meñ

    vo apne jalve dikhā de mujh ko jo nazar se chhupā rahā hai

    har ek tadbīr be-asar hai na rahī huuñ na mar rahī huuñ

    junūn-e-ishq-e-ḳhudā logo ye haal merā banā rahā hai

    tumhin batao wo kaun hai jo har ek lamha sata raha hai

    na nind raaton ko aa rahi hai na chain din ko hi aa raha hai

    ye ashk daman bhigo rahe hain ye aankhen suji hui hain meri

    main ek jalwe ki us ke talib magar wo parde gira raha hai

    tawaf-e-kaba ko dekh to le taDap raha hai wajud mera

    na panw ab mere uTh rahe hain na samne ghar wo aa raha hai

    main ek majbur na-tawan si zaif bandi hun us se talib

    tamasha chup-chap dekhta hai kahan taras mujh pe kha raha hai

    tujhe usi ki qasam hai maula hai tujh ko mahbub do jahan mein

    wo apne jalwe dikha de mujh ko jo tu nazar se chhupa raha hai

    har ek tadbir be-asar hai na ji rahi hun na mar rahi hun

    junun-e-ishq-e-KHuda hi logo ye haal mera bana raha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now